Samunder ki tanhai mein tanhaa
mein apney app ko dekhta hon
Hazaron meel tak youn hi tanhaa akaila
khud apney app ko he dekhta hon
kabhi awara raston per youn chaltey
mein apney saye ko he dhondhta hon
Kabhi raton mein routey huwe
kisi ke hath hathon mein dekhta hon
Kabhi mein tak e wafa ko yaad kar ke
phir milne ki khuwahish bandhta hon
Kabhi mein khuwab yeh bhe dekhta hon
kabhi yeh aas khud he toorta hon
Mein ab bhe awargi ke andheron
mein jaam honton se lagata hon
Mein ab bhe hazar dukhon ko
nichoor kar aik qatra sharab banata hon
Mein ab bhe raton ko tanhaa aakaila
ghumon ki barishon mein beheegta hon
Mein ab bhe ansuoon ko pee kar usman
Suroor e Mai-kashi mein jhoomta hon
No comments:
Post a Comment